Talaash-e-Google:


Urdu ke Naam - اردو كے نام © urdu-ke-naam.blogspot.com

Friday, July 31, 2009

'Majaaz' by Moin Ahsan Jazbi

A nazm I like very much and which I find very touching, is Jazbi's elegaic tribute to Majaaz Lucknawi, Javed Akhtar's maternal uncle, who died of excessive drinking when he was about 46. Couched in Jazbi's inimitable, classical style, the nazm is one of the finest, richest tributes paid to a fellow-poet.

aaj ik jaadah-e-pur_pech ka raahi gum hai
ik Hareef-e-alam-e-laa_mutanaahi gum hai
ek saudaai-e-ta'amiir-e-gulistaaN mafqood
ek aawarah-e-toofan-e-tabaahi gum hai
ik dahakta hua sho'la nahiN maiKhaane meiN
ik mehakti hui sarshaar nigaaahi gum hai
Husnwaalon ki jabeenoN ka ujaala aujhal
ishqwaaloN ke naseeboN ki siyaahi gum hai

aah ai dasht-e-watan, apne GhazaaloN meiN tau dekh
aasmaaN, mehrvashoN maahjamaaloN meiN tau dekh
jin ke seenoN meiN hai tabaani-e-sad_maah-e-tamaam
zulmat-e-dehr, zara aise hilaloN meiN tau dekh
pooje jaate haiN jahaN Husn-o-wafaa ke asnaam
ai mere shaiKh-e-Haram, aise shivaalon meiN tau dekh
a'ish-e-imroz, tujhe rooH-e-tarab ki saugandh
dil-e-insaaN ke kohnsaal malaaloN meiN tau dekh
dil-e-sadpaarah-e-mazloom ki aahoN meiN tau DhoonDh
shehryaaroN ki Ghazabnaak nigaahoN meiN tau dekh
naaKhun-e-aql-o-junooN aaj bhi a'ajiz jin se
aise u'qdoN se tau pooch aise sawaaloN meiN tau dekh
ai shab-e-teerah-o-tareek ke maare 'Jazbi'
subaH-e-na_payd ke mauhoom ujaaloN meiN tau dekh