Talaash-e-Google:


Urdu ke Naam - اردو كے نام © urdu-ke-naam.blogspot.com

Wednesday, September 19, 2007

'ke aati hai Urdu zabaaN aate aate'


DaaGh Dehlavi, who died more than a 100 years ago, told us in his characteristic, simple style what a rich, complex language Urdu actually was!

nahiN khhel ai daaGh yaaroN se kehdo
ke aati hai Urdu zabaaN aate aate


hamaara yeh safar yahiN se shuru'a hota hai. baqaul-e-meer 'aage aage dekhiye hota hai kya'. shayari, pasandeedah sho'ra, shayr ki bandish aur digar mauzu'at par guftgoo hogi, bashart-e-Hayaat-o-seHhat.

Saty: dioscuri.hyd@gmail.com

3 comments:

Hyderabadiz said...

Aap ne kaha:
aaGhaaz huwa-ya'ni pehle post se!

Mein to bas itna janta hoon:
Ibteda-e-Ishq hai rota hai kya -- Aage Aage dekhiye hota hai kya

ya phir wohi dil laya hoon, kyon ke:
ibteda e ishq mein hum saari raat jaage, --
allah jaane kya hoga aage, ...

Best of Luck, Mohamed Taher

Saty said...

dekhiye janaab--'umr guzri hai isi dasht ki sayyaahi meiN' ya yuN kahiye ke hamaare mu'amlay meiN Urdu ke ishq ne 'kaam tamaam kiya'-'dekha is biimaari-e-dil ne aaKhir kaam tamaam kiya' ya baqaul-e-Jigar:
yeh ishq nahiN aasaaN bas itna samajh liijay
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai"....

Anonymous said...

na tha kuch tho khuda tha,
kuch na hotha tho khuda hotha,
duboya mujh ko hone mein
na hotha mein tho kya hotha...

good blog saty bhai